Home Search Menu Profile

Book Video Consultation

Book Video Consultation

Stay Home

No Waiting in lines

Audio/Video Call

PMC Verified Doctors

Talk to Ent Surgeon on Ear Problem

person-avatar

Asking for Self, Female, 20 years old, Gujranwala

Mam Mera kan 5,6 din se bnd ga muje kafi uljan hoti ha muje flu hoa tha jis ki waja se kan bnd hogya raishy se usk bd khul hi nii tha raha 3 doc change Kiye sb med dety ha kan saf nii krty muje doc ne bola tha glecerin or soda dalen muje nii tha pata he drops ka nam ha to ma ne panii or soda wese mix kr k kan ma dal diya usk bd totally kan bnd hogya or khul nii raha or aj ma ne soda glecerin drops dalen ha us se b kan nii khula Mera ma Kafi pareshan hu mam muje smjh nii aa raha ma kia kro Mera kan kese khuly ga ap plz Kuch recommend kr den ma ne kan me pehly Kan waly drops b dalen thy us din pain kafi ho rai thi pain thk ho gae or kan bnd hogya Mera or pain ki waja se pehly ma ne oil Dala garam kr k sarso ka phir ma ne bd drops Daly totally kan bnd hogya or do din soda Pani mix kr k dal diya kan khul hi nii raha na sunai de raha ma Kafi pareshan hu plzz help

Ent Surgeon in Karachi - Dr. Tooba Khanum

Dr. Tooba Khanum - Ent Surgeon

MBBS, FCPS | Karachi

review-stars

16 Positive Reviews

Thanks for question. kaan band wax ki wajah sy bhi hosakta hai aur parday k peechay nazla jam janay ki wajah sy bhi hosakta hai. Q k ap ko Dr ki taraf sy soda glycerine drops diye gaye hain tou hosakta hai k main reason wax ho. lekin jab tak kaan saaf kar k parday ka tafseeli muaina nahi kia jata confirm nahi kaha jasakta.
Soda glycerine prepared drops ki tarah bottle mein kisi bhi dosray ear drops ki tarah medical store sy mil jatay hain ghar py nahi banaye jatay. paani mein soda mila k kaan mein daalnay ka koi faida nahi hoga. Ap sodaglycine drops medical store sy khareedein aur 5 drops har 3-4 ghanty baad effected kaan mein daalein 5 din aur kisi mustanad ENT consultant sy kaan ki safai aur deegar muaina karwaein. kaan mein dard ki soorat mein jo pain killer tablet ap lo suit karti hon wo aik goli din mein 3 baar lesakti hain. issay zada bageir muaina liye koi medication suggest nahi ki jasakti.

Attach Photo here:


Consult with Doctor Online

One-to-One Chat with Doctor

Don't like going to a Hospital?

Consult Online

Book Appointment

View All Categories (A-Z)

Find the Questions asked in Other Categories