Book Video Consultation
Stay Home
No Waiting in lines
Audio/Video Call
PMC Verified Doctors
Asking for Self, Male, 16 years old, Battagram
Assalam-o-Alaikum Doctor. Meri age 16 saal hai. Mere left knee ki left side mein 1 mahine se dard hai. Shuru mein dard kam tha, lekin ab dheere dheere zyada ho raha hai. Normal chalne mein zyada problem nahi hoti, lekin jab main bhaagta hoon to knee mein dard hota hai. Filhal sirf dard hai, swelling, redness ya fever nahi hai. Mujhe pehle hospital se “Acable” naam ki tablet di gayi thi, jis se dard theek ho gaya tha.
Please batayein ke iski possible wajah kya ho sakti hai aur kya mujhe koi test ya physical examination karwani chahiye?