Marham
SurgeriesHealth HubForumJoin as Doctor

Book Video Consultation

  • Stay Home
  • No Waiting in lines
  • Audio/Video Call
  • PMDC Verified Doctors
View Online DoctorsView Doctors

Vitamin b12 deficiency

Answered by 4 verified doctorsGeneral PhysicianAsked 15 Sept 2026
Asking for:
Self
Patient:
Female, 26 years old
Location:
Gujrat

Mujhy kafi arsy se hair fall ka issue hai meiny vitamin b12 ka test krwaya tha to mera b12 (205 pg /ml) hai to is ke liye kon se supplement lun aur kitny arsy ke liye ? kindly guide kr dein

5 answers

Dr. Aaiza Sami

Dr. Aaiza Sami

MBBS
General PhysicianLahore4.9(148 reviews)

Kya ap glucophage ka istamal kar rahi han?

2 months ago

Patient

2 months ago

Nai mam aisi koi medicine nai ly raii

Dr. Saadia Husssin

Dr. Saadia Husssin

MBBS, Certificate in Life Style Medicine, Certified in Family Medicine
General PhysicianKarachi

Apne lab results share karne ka shukriya. Aapka Vitamin B12 level 205 pg/mL hai jo borderline low range mein aa sakta hai,,,lab ki reference range ke mutabiq. Vitamin B12 ki kami hair fall mein contribute kar sakti hai lekin hair fall ki aur bhi kai wajahen ho sakti hain. Behtari ke liye Apni diet mein eggs, dairy products, meat aur poultry jaisi Vitamin B12-rich foods shamil karein. B12 supplement ki zarurat aur uski appropriate dose aapki complete history aur reports dekh kar behtar decide ki ja sakti hai. Agar aap chahein to aap mere Marham profile par consultation book kar sakti hain, jahan hum aapki reports aur hair fall ki possible causes ko detail mein review kar sakte hain. Apna khayal rakhein. ?

2 months ago

Patient

2 months ago

Mam meiny aur b test krwaye hain pr wo normal hain mera b12 aur ferritin low tha mera ferritin 17 tha us ke liye me sangobion tablet ly rai hun vitamin b12 ke liye kuch b nai liya

Dr. Saadia Husssin

Dr. Saadia Husssin

MBBS, Certificate in Life Style Medicine, Certified in Family Medicine
General PhysicianKarachi

Sangobion mein iron aur kuch B-vitamins hote hain, lekin B12 deficiency ko poori tarah cover karne ke liye aksar specific B12 supplements ya methylcobalamin ki zarurat padti hai, khas taur par agar hair fall continue rahe. Aapka ferritin low aur B12 borderline hona yeh batata hai ke inke peechay koi root cause jaise diet, absorption, ya body ki storage capacity ka masla ho sakta hai. Sirf upar se tablets shuru kar dena kaafi nahi hota jab tak hum yeh na jaanein ke yeh kami kyun hui hai, warna yeh masla bar bar wapas aa sakta hai. Is k liye aapki complete history aur reports ko deeply discuss karna zarori hain

2 months ago

Patient

2 months ago

G mam meri diet theek nai thi mera protein intake buht kam tha ab meiny apni diet behtr ki hai

Dr. Qamar Zia

Dr. Qamar Zia

MBBS
General PhysicianKarachi4.9(28 reviews)

Take Tablet Iberit Folic once a day in the morning. Tablet Mecobal 2times aday for 15days. Tablet Surbex Z once a day for atleast 1 month.

2 months ago

Need a proper diagnosis?

Forum answers are general guidance and cannot replace an examination. For a diagnosis, book a consultation with a general physician — in person or by video.

More general physician questions

backpain

long term SSRI lenay ki waja se backpain rehta ha

Asking for: For selfPatient: Male, 35 years oldLocation: Sakran

Awaiting an answerGeneral Physician9 hours ago
Test reports

Continuous Weight gain ki wja se tests krqaye thy....reports dekh k btayn

Asking for: For selfPatient: Female, 20 years oldLocation: Lahore

10 doctor answersGeneral Physiciana day ago
> Bhagne se sar chakrata hai aur kamzori hoti hai

> Meri age 18 saal hai. Jab main bhagta hoon to mera sar chakrane lagta hai aur jism mein kamzori mehsus hoti hai. Saans phool jata hai. Aaram karne par theek ho jata hai

Asking for: For selfPatient: Male, 18 years oldLocation: Mastung

3 doctor answersGeneral Physiciana day ago
کیا میں Sukoon Nuglow گولی کھا سکتی ہوں؟

السلام علیکم ڈاکٹر صاحبہ، مجھے مہینے میں 2 بار مہینہ آتا ہے، اس لیے میں ہومیو پیتھک ڈاکٹر کی دی ہوئی دوا کھا رہی ہوں، میکٹم ٹی 36 بلیڈنگ ڈراپس۔ اور میرے ہاتھوں اور پاؤں پر فنگس بھی ہے، اس کی بھی دوا لے رہی ہوں۔ میں نے فیس بک پر Sukoon Nuglow والی گولی دیکھی ہے، جو بالوں، جلد اور ناخنوں کے لیے ہے۔

Asking for: For selfPatient: Female, 30 years oldLocation: Bahawalpur

3 doctor answersGeneral Physiciana day ago
See all general physician questions